Bewajah 

Aye khuda kabi to nazre mila bewajah 

Meri kahani zamane ko bata bewajah 
Ishq tha jung thi sb zahaz bhi to tha 

Fir di kyu ye saza bewajah 

Aye khuda kabi to nazre mila bewajah 

Jbse khoya use kisi manzil ki khwaish nahi 

Fir kyu dhundhta hu uske nishan bewajah 

Aye khuda kabi to nazre mila bewajah 

Usse baton ka koi bahana bhi to nahi 

Khojta kyu hai koi wajah khamakha bewajah 

Aye khuda kabi to nazre mila bewajah 

Uske diye zakhmo pr hasna ab to adat hai meri 

Aa kar kabhi to rula bewajah 

Aye khuda kabi to nazre mila bewajah 

Tu nahi to ab ibadat bhi nahi 

Kyu aya namazo main zikr tera bewajah 

Aye khuda kabi to nazre mila bewajah 

Jis tarah gaya vo jhute fasane de kar 

Us tarah kabhi na jane ke liye aa bewajah

Aye khuda kabi to nazre mila bewajah 
Vo nahi chahat se koi wasta bhi nahi

Fir kyu chahta hu use bepanah bewajah

Aye khuda kabi to nazre mila bewajah 
Lamhe usne jo diye the wahi dastan thi meri

Kyu fohrata hai fir wahi falsafa bewajah 

Aye khuda kabi to nazre mila bewajah 
Khudse pyar nahi usse nafrat ki wajah bhi nahi

Fir kyu rhta hai khafa khafa bewajah 

Aye khuda kabi to nazre mila bewajah 

Leave a comment